Saturday, November 12, 2011

वादा किया सितारों ने साथ देने का
कदम कदम पर बहारो ने साथ छोड़ा ,
जरुरत पड़ने पर यारो ने साथ छोड़ा ,
वादा किया सितारों ने साथ देने का ,
लेकिन सुबह होने पर सितारों ने भी साथ छोड़ा ।




ज़िन्दगी भर के साथ
प्यार करनेवाले अंजाम नहीं सोचते है ,
आँखें बंद करके भरोसा कर लेते है ,
ज़िन्दगी भर के साथ की उम्मीद लगा लेते है ,
पर फिर भी काभी प्यार में दिल टूट जाए तो ,
अपने यार से शिकायत नहीं करते है .




Bolta hai dosti
Bolta hai dosti,
Chup rehta hai pyaar,
Hasati hai dosti,
Rulata hai pyaar,
Milati hai dosti,
Judaa karta hai pyaar,
Phir bhi kyun dosti chodkar,
Log karte hai pyaar.




Jeetai the hum kabhi saan se
Jeetai the hum kabhi saan se,
Mahek uthi fija kisi ke nam se,
Par gujre hain kuch aise mukam se,
Nafrat si ho gai hai mohabat ke nam se.




Kabhi kisi se pyaar mat karna
Kabhi kisi se pyaar mat karna
Ho jaye to inkar mat karna
Nibha sako to chalna uski raah par
Varna kisi ki zindagi barbaad mat karna.




Dua hai khuda se
Bhula kar hamein wo khush reh payenge,
Sath mein nahi to mere jane k baad muskurayege,
Dua hai khuda se ki unhe kabhi dard na dena,
Hum to sahaingaye par wo toot jayenge.




Dil jo dooba aash ke gam me
Dil jo dooba aash ke gam ankh me machal gaye,
Ek chirag kya bujha sau chirag jal gaye,
Meri unki raah bas itni der ek thi,
Do kadam chale hi the ki raste badal gaye.




Ye raat itni tanha kyo hai
Ye raat itni tanha kyo hai,
Sabko apni kismat se shikayat kyo hoti hai,
Ye kismat bhi ajeeb khel khelti hai,
Jise pana muskil hota hai,
Mohabat kyo usi se hoti hai.




Na zane kaise
Zindagi lehar thi aap shail hue,
Na zane kaise hum se bhool hue,
Aur hum aapki dosti ke kabil na hue,
Na bhulenge hum uss haseen pal ko,
Jab aap hamari choti se duniya mein shamil hue.




Milna hai to mil
Milna hai to mil,
Isi duniya ke chaman main,
Phir kya milna hoga,
Jab laaash hogi kafan mein.




Dil jo tut gaya to fariyad karoge tum
Dil jo tut gaya to fariyad karoge tum,
Hum na rahe to yaad karoge tum,
Aaj to kehte ho waqt nahi,
Par ek din mere liye waqt se fariyad karoge tum.




Har gulab par aithbaar na kijiye
Bagair kisi ko jaane ikarar na kijiye,
Muskarakar dil ko bekarar na kijiye,
Kabhi-kabhi gulab bhi de jaate hai zakham,
Har gulab par aithbaar na kijiye.

0 Comments:

Post a Comment

Subscribe to Post Comments [Atom]

<< Home